Jab dekhta hun kisi ko ghanto kisi ka intezaar karte hue, toh woh yaad aata hai..
jab koi mall ke changing room mein dheero kapde le jaate hai, toh woh yaad aata hai..
baatein karte hue jab koi milon chala jaata hai aur waqt ka koi thikana nahi reh jata hai.. toh woh yaad aata hai..
Jab dekhta hun bazaar mein kisi ko mol bhav karte hue, har choti baat par na nukur karte hue.. toh woh yaad aata hai..
haatho mein chappal uthaae, samandar ke kinare koi firta hua dikh jaata hai, toh woh yaad aata hai..
jab gahari khamoshi mein kisi ke pass hone ka ehsaas ho, toh ye woh hi hai...
par ye "woh" kaun hai, ye baat hum har kisi ko bata nahi sakte,
saare zamane ko humara raazdaar bana nahi sakte..
Friday, June 12, 2015
Woh
Subscribe to:
Post Comments (Atom)

No comments:
Post a Comment